Posts

Showing posts from September, 2024

Munawwar Meri Aankho Ko Mere Shamsudduha Karde || Naat Lyrics

  Munawwar Meri Aankho Ko Mere Shamsudduha Karde Gamon Ki Dhoop Me Wo Saya e Zulfe Duta Karde Jahan Baani Ata Karde Bhari Jannat Hiba Karde Nabi Mukhtare Kul Hai Jisko Jo Chahe Ata Karde Jahan Me Unki Chalti Hai Wo Dam Me Kya Se Kya Karde Zameen Ko Aasman Karde Suraiya Ko Sarah Karde Faza Me Udne Wale Yuh Naa Itraye Nidaan Karde Wo Jab Chahe Jise Chahe Use Farma Rawan Kard Nabi Se Jo Hai Baigaana Use Dil Se Juda Karde Pidar, Madar, Biradar Jaano Maal Un Par Fida Karde Mujhe Kya Fikr Ho Akhtar Mere Yaawar Hai Wo Yaawar Balaao Ko Meri Jo Khud Giriftare Bala Karde

Pul Se Utaaro Rah Guzar ko Khabar na ho || Naat Lyrics

  Pul Se Utaaro Rah Guzar ko Khabar na ho Jibreel Par Bichhaein to Par ko Khabar na ho   Kaanta Mere Jigar Se Game-Rozgaar ka Yun Khinch lijiye ke Jigar Ko Khabar na ho   Fariyaad Ummati Jo karein Haale Zaar mein Mumkin nahin ke Khaire Bashar ko Khabar na ho   Kehti thi Buraq se Uski Sabak Rawi Yun Jaeeye ke Gharde Safar ko Khabar na ho   Esa Guma de Unki wilaa mein Khuda Hamein Dhundha kare Par Apni Khabar ko Khabar na ho   Aye Khaare Taybaa ! Dekh ke Daaman na Bhig Jaae Yun Dil mein aa ke Deeda-e-Tar ko Khabar na ho   Aye Shoqe Dil ! Ye Sajda Jo Unko Rawa nahin Achha Wo Sajda kijiye ke Sar ko Khabar na ho   Un ke Siwa RAZA koi Hamee nahin jahan Guzra kare Pisar pe Padar ko Khabar na ho

Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai, || Naat Lyrics

  Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai, Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai, Ek Main Hi Nahi Un Par Qurban Zamana Hai, Jo Rab E Do Aalam Ka Mehboob Yagana Hai. Kal Pul Se Hamein Jis Ne Khud Paar Lagana Hai, Zahra Ka Woh Baba Hai Hasnain Ka Nana Hai. Aao Dar E Zahra Par Phelaye Hue Daaman, Hain Nasl Kareemon Ki Lajpaal Gharana Hai. Hoon Shah E Madina Ki Mein Pusht Panahi Mein, Kya Iski Mujhe Parwah Dushman Jo Zamana Hai. Izzat Se Na Marjayein Kyun Naam E Muhammad Par, Youn Bhi Kisi Din Hum Ko Duniya Se Toh Jana Hai. Yeh Keh Ke Dar E Haq Se Li Maut Mein Kuch Mohlat, Milad Ki Aamad Hai Mehfil Ko Sajana Hai. Iss Hashmi Dulha Per Konain Ko Main Waroon, Jo Husn O Shumail Mein Yakta E Zamana Hai. Pur Noor Si Raahein Hain, Gumbad Pe Nigahein Hai, Jalwe Bhi Anokhe Hain, Manzar Bhi Suhana Hai. So Bar Agar Tauba Tuti Bhi To Kiya Hairat, Bakhshih Ki Riwayat Mein Toba To Bahana Hai. Qurban Us Aaqa Par Kal Hashr Ke Din Jisne, Iss Ummat E Aasi Ko Kamli Mein Chupana Hai. Har Waqt Woh Hai ...

Chu Maah Dar Arz o Samaañ, Taabaañ Tui Taaban Tui || Naat Lyrics

 Chu Maah Dar Arz o Samaañ, Taabaañ Tui Taaban Tui Rashk-e Malak Noor-e-Khuda Insaañ tui Insaañ tui   Raushan Ze Ruyat Do Jahañ, Aks-e Rukhat Khursheed o Maah Ay Noor-e Zaat-e Kibriya, Rakhshaañ Tui Rakhshaañ Tui   Aayaat-e Qur’añ Abruyat, Tafseer-e Qur’aan Gesuyat Ay Rooye Tou Qur’aan-e Maa, Imaan Tui, Imaan Tui   Ya Mustafa Ya Mujtaba, Ir’hamLana, Ir’hamLana Daste Hamaa Be Chaara Ra, Daamaañ Tui, Daamaan Tui chooma dar arzo sama lyrics Man Aasiyam, Man Aajizam, Man BeKasam Haal-e Maraa Ya Shaafa-‘e-Roz-e Jazaa, Pursaañ Tui, Pursaañ Tui   Jaami Ruvad Az Chashm-e Maa Jalwa-Numa Bahr-e Khuda Jaan o Dilam Har Do Fida, Jaanañ Tui, Jaanañ Tui

Hota Agar Zameen Par Saya Rasool Ka || Naat Lyrics

Hota Agar Zameen Par Saya Rasool Ka Phir Pao Ummati Kaha Rakhta Rasool Ka Padhte Hai Yu Toh Gair Bhi Kalma Rasool Ka Jannat Usse Milengi Joh Hoga Rasool Ka Karte Hai Ahtraam Janaza Ka Isliye Woh Jara Hai Dekhne Chehra Rasool Ka Sher e Khuda Na Banta Toh Banta Bhi Aur Kya Bachpan Se Hi Toh Tha Yeh Paala Rasool Ka Duniya Ko Dekhna Bhi Gawara Nhi Kiya Jab Tak Ali Ne Dekha Na Chehra Rasool Ka Nara Raza Ka Lagta Hai Duniya Mai Islliye Ahmed Raza Ke Lab Pe Tha Naara Rasool Ka

Madine se bulaawa aa raha hai || Naat Lyrics

  Madine se bulaawa aa raha hai Mera Dil Mujse Pahele jaa raha hai Yahaan marzi nahin chalti kisi ki Madine waala hi bulwaa raha hai Madine se bulaawa aa raha hai Mera Dil Mujse Pahele jaa raha hai Shabe Furqat se Dil Gabraa raha hai Madina Aapka yaad aa raha hai Madine se bulaawa aa raha hai Mera Dil Mujse Pahele jaa raha hai Ye chakki Saiyyada ki chal rahi hai Zamaana Jitna Langar kha raha hai Madine se bulaawa aa raha hai Mera Dil Mujse Pahele jaa raha hai Nawaason ka Sadqa baant-te hein Zamaana Unke Dar se kha raha hai Madine se bulaawa aa raha hai Mera Dil Mujse Pahele jaa raha hai Mera Dil bhi Tu Apne saath le jaa Akela Kyun Madine jaa raha hai Madine se bulaawa aa raha hai Mera Dil Mujse Pahele jaa raha hai Kaheinge Mustafa Qadmon se lag jaa Dare Zahraa se ho kar aa raha hai Madine se bulaawa aa raha hai Mera Dil Mujse Pahele jaa raha hai

Wara Fana Laka Zikrak || Naat Lyrics

Wara Fana Laka Zikrak Teri khushboo meri chadar Tere tewar mera zewar Tera shewa mera maslak Wara Fana Laka Zikrak Mai adhura tu mukammal Mai  shikasta tu musalsal Mai sukhanwar tu Paiambar Mera maqtab tera ek pal Wara Fana Laka Zikrak Teri jhumbish mera khama Tera nukhta mera naama Teri midhat meri boli Tu khazana mai hu jholi Tera saya meri maya Wara Fana Laka Zikrak Tera jhoka meri dholi Tera rasta mera haadi Teri yaade meri waadi Tere zarre mere deepak Wara Fana Laka Zikrak Mein hu qatra tu samandar Meri duniya tere andar Sage daata mera Naata Na Wali hu na qalandar Tere saaye me khade hai Tere kadmo me pade hai Mere jaise toh bade hai Koi tujh sa nahi beshak Wa Rafan Laka Zikrak Tere dam se Dil e Mena Kabhi faran kabhi seena Na ho fir kyu teri khatir Mera marna mera jeena Yeh zameen bhi ho falak si Nazar aaye jo dhanak si Tere dar se meri chatak Wara Fana Laka Zikrak Meri sonche hu sawaali Mera lehja ho Bilali Shab e tiran kare tiran Mere dil bhi ho visaali Tera maktab ho mera...

Ae Khatm E Rusul Makki Madani Konain Main Tumsa Koi Nahi || Naat Lyrics

Ae Khatm E Rusul Makki Madani Konain Main Tumsa Koi Nahi Ay Noor E Mujassam Tery Siwa Mahboob Khuda Ka Koi Nahi Ausaf tou sab ne paaye hai per husn e sarapa koi nahi adam se janab e issa tak sarkar k jesa koi nahi ye shaaan tumhari hai Aaqa tum arsh e bareen par pahunche ho zeeshan nabi hain sab lekin mairaj ka dulha koi nahin Dil Kis Ko Dikhain Cheer Ke HumIssian Ka Madawa Kon Kary Ae Rehmat E Aalam Tery SiwaDukhion Ka Maseeha Koi Nahi khairaat Muhammad se paakar kis naaz se kehte hain mangte dukhiyon pe karam karne wala Sarkar se achcha koi nahin Ae Khatm E Rusul Makki Madani Konain Main Tumsa Koi Nahi Ay Noor E Mujassam Tery Siwa Mahboob Khuda Ka Koi Nahi

Bahar-E Jaan(N) Fiza Tum Ho, Nasim-E Gulsita(N) Tum Ho || Naat Lyrics

 Bahar-E Jaan(N) Fiza Tum Ho, Nasim-E Gulsita(N) Tum Ho Bahar-E Bagh-E Rizwan Tum Se Hai, Zaibe Jinan Tum Ho   Khuda Ki Saltanut Ka Do-Jahan Main Kaun Dulha Hai, Tumhee, Tum Ho, Tumhee, Tum Ho, Yahan Tum Ho, Wahan Tum Ho Haqeeqat Se Tumhari Juz Khuda Aur Kaun Waqif Hai, Kahe Tu Kya Kahe Koyee, Chuneen Tum Ho, Chunaan Tum Ho   Nazar ‘Arif Ka Har ‘Alam Main Aya Aap Ka ‘Alam, Na Hote Tum Tu Kya Hota, Bahar Har Jahan Tum Ho Kuju Hum Khaak Uftadah, Kuja Tum Ae Shah-E Bala, Agar Misl-E Zamin Hum Hain, Tu Misl-E Asman Tum Ho   Main Bhula Aap KÄ« Rif’at Se Nisbat Hee Hamein Kya Hai, Woh Kehne Bhar Kee Nisbat Thee, Kahan Hum Hain, Kahan Tum Ho   Hamein Umeed Hai Rauz-E Qiyamat Unkee Rehmat Se, Ke Farmayein Idhar A’ao Na-Mayus Az-Jinan Tum Ho   Sitam Karo, Khata Karo, Siyah Karo, Jafa Karo, Hamare Daman-E Rehmat Main Aa Jaoo Kahna Tum Ho Tumhare Hote Saate Dard Dukh Kis Se Kahoon Pyare, ShafÄ«’e Asiyan Tum Ho, WaqÄ«l-E Mujriman Tum Ho   Riyazat Ke Yahee Din Hain Bu...

Mangte Khali Haath Na Laute || Naat Lyrics

 Mangte Khali Haath Na Laute, Kitni Mili Khairaat Na Poochho Unka Karam Phir Unka Karam Hai, Unke Karam Ki Baat Na Poochho.   Kunto Kanzan Raaz-e-Masheeyat, Jalwa-e-Asra Noor-e-Hidayat, Jagmag-Jagmag Donoñ Aalam, Kaisi Hai Woh Zaat Na Poochho.   Ishq-e-Nabi Kaunain Ki Daulat! Ishq e Nabi Bakhshish Ki Zamanat, Is Se Badhkar Dast-e-Talab Meiñ Hai Bhi Koi Saughat Na Poochho.   Rashq-e-Jinañ Taiba Ki Galiyañ Har Zarrah Firdous Badaamañ, Charoñ Taraf Anwar Ka Aalam, Rahmat Ki Barsat Na Poochho.   Zahir Meiñ Taskeene Dilo Jaañ, Baatin Meiñ Meraj e Dil o Jaañ, Naam e Nabi Phir Naam e Nabi Hai, Naam e Nabi Ki Baat Na poocho.   Haal Agar Kuchh Apna Sunaaya, Unke Karam Ka Shikwa Hoga, Maiñ Apne Haalaat Meiñ Khush Hooñ, Mujh Se Mere Haalaat Na Poocho.   Taj-e-Shafaa’at Sar Par Pahne Hashr Ka Doolha Aa Pahoñcha, Aañkheñ Kholo Ghaur Se Dekho Kiski Hai Baaraat Na Poocho.   Maiñ Kya Aur Kya Meri Haqeeqat Sab Kuchh Hai Sarkar Ki Nisbat, Maiñ To Bura Hooñ Lekin Me...

Wo Jo Chahain Chand Ko Toor Dain Unhain Ikhtiyaar Diya Gaya || Naat Lyrics

  Wo Jo Chahain Chand Ko Toor Dain Unhain Ikhtiyaar Diya Gaya Wo Phir Uske Tukron Ko Joor Dain Unhain Ikhtiyar Diya Gaya Jo Ali Ke Aser Qaza Hue To Wo Waqat Pr Hi Aada Hue Chupa Aaftab Ko Moorna Unhain Ikhtiyar Diya Gya Wo Nabi Ke Muthi Ka Mojza Keh Wama Ramaeta Kaha Khuda Wo Nigah e Kufer Ko Moor Dain Unhain Ikhtiyaar Diya Gya Kunwa Khara Anas Ke Ghar Ma Tha Likha Hai Ye Qutba Hadeeth Me Khara Pan Luaab Se Tore Dain Unhain Ikhtiyaar Dya Gya Kiya Maaf Unko Jo Aaye Tha Jo Sahabi Roza Ko Toor Ke Wo Saza Ke Had Ko Bhi Shore Dain Unhain Ikhtiyaar Diya Gya Likho Nazish Unka Ye Mojza Keh Kisi Ke Aankh Nikal Gae Wo Luabe Pak Se Jore Dain Unhain Ikhtiyar Diya Gya

Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe || Naat Lyrics

  Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe Baaghe Khaleel kaa gul-e zaybaa kahoon tujhe Hirmaan naseeb hoon tujhe ummeed gah kahoon Jaane muraado kaane tamanna kahoon tujhe Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon Darmaan-e dard-e bulbul-e shaydaa kahoon tujhe Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf Bekas nawaaz gesu-on waalaa kahoon tujhe Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen Ay jaan-e jaan main jaane tajalla kahoon tujhe Mujrim hoon apne afwa ka saamaan karoon shahaa, Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahoon tujhe! Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahoon tujhe Tere to wasf ayb-e tanaahee se hain baree Hayraan hoon mere shaah main kya kya kahoon tujhe K`eh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahoon tujhe Lekin Raza ne khatm-e sukhan is pe kardiya Khaaliq ka banda Khalq ka aaqaa kahoon tujhe

Duroode Ahle Bait Pyare Nabi Ki Zaat Par Rab Ka Durood Hai || Naat Lyrics

  Pyare Nabi Ki Zaat Par Rab Ka Durood Hai Sarkaare Do Jahaan Par Sab Ka Durood Hai Zahra pe Bhejte jo Duroodo Salaam Hai Woh Sachche Ghulame Mustafa Hai Nek Naam Hai Jannat Mein Fatima Ki Kaneeze Jaha Rahe Ya Rab Meri Dua Hai Meri Maa Waha Rahe Allah Ke Sher Haidare Karraar Par Durood Hazrat Hasan Hussain Ke Kirdaar Par Durood Zainab ki Bargaah Mein Salaame Niyaaz Hai Jo Murtaza Ki Laadli Zahra Ka Naaz Hai Padhte Hai Gar Durood To Milta Sawaab Hai Bheje Agar Salaam To Aata Jawaab Hai

Wo Jiske Liye Mehfil e Konain || Naat Lyrics

Wo Jiske Liye Mahfil E Konain Saji Hai Firdause Barin Jiske Wasile Se Bani Hai Wo Hashmi, Makki, Madni-Ul-Arbi Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Allah Ka Farmaan, Alam Nashrah Laka Sadrak Mansub Hai Jisse Wa Rafaana Laka Zikrak Jis Raat Ka Quraan Me Zikre Jali Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Wa Shamshu Doha Chehraie Anwar Ki Jhalak Hai Wlail Saja Gesuye Hazrat Ki Lachak Hai Aalam Ko Zeeya Jiske Wasile Se Mili Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Ahmad Hai, Muhammad Hai, Wo Hi Khatme Rusul Hai Makhdumo Morabbi Hai Wo Hi Waliye Kul Hai Us Par Hi Nazar Sare Zamane Ki Lagi Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Mozammilo Yaseeno Mudassiro Taha Kya Kya Naye Alqab Se Maula Ne Pukara Kya Shan Hai Uski, Ki Jo Ummi Laqabi Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Wo Mera Nabi, Mera Nabi, Mera Nabi Hai Wo Mera N...

Ser-e-gulshan Kaun Dekhe Dasht-e-Taiba Chhor Kar || Naat Lyrics

  Ser-E-Gulshan Kon Dekhe Dasht-E-Taiba Chhor Kar Sooe Jannat Kon Jaaye Dar Tumhara Chor Kar   Sar Guzasht-E-Gham Kahoon Kise Tere Hote Huwe Kis Ke Dar Pe Jaauun Tera Aastana Chhor Kar Mar Hi Jaaoon Mein Agar Is Dar Se Jaaoon Do Qadam Kyaa Bache Bimaar-E-Gham Qurb-E-Maseehaa Chhor Kar Bakhshwana Mujh Se Aasee Ka Rwaa Hoga Kise Kis Ke Daaman Mein Chupon Daaman Tumhara Chor Kar Hashr Mein Ik Ik Mun Jo Takte Phirte Hain ‘Udo Aafton Mein Phans Gaye Inka Sahara Chor Kar Mar Ke Jeete Hain Jo Unke Dar Pe Jaate Hain Hassan Jii Ke Marte Hain Jo Aate Hain Madinah Chhor Kar

Khula Hai Sabhi K Liye || Naat Lyrics

Khula Hai Sabhi Kay Liye Baab E Rehmat, Wahan Koi Rutbay Main Adna Naa Aali Muraadon Se Daamann Nahee Koi Khaali, Qatarain Lagaye Kharay Hain Sawali, Mein Pehlay Pehal Jab Madinaa Gya Tha, To Thi Dill Ki Halat Tadapp Janay Wali, Wo Darbaar Sach Much Mere Samnay Tha, Abhi Tak Tasawwur Tha Jiss Ka Khiali, Main Ek Haath Say Dill Sanbhalay Huay Tha, To Thi Doosray Haath Rozay Ki Jaali, Dua Kay Liye Hath Uthte To Kesay!!! Na Yeh Hath Khaali, Naa Woh Haath Khaali, Jo Poocha Hai Tum Nay, Kay Main Nazr Karnay Ko Kia Lay Gya Tha, Tou Tafseel Sun Lo, Tha Naaton Ka Ik Haar, Ashkon Kay Moti, Daroodon Ka Gajra, Salamon Ki Daali, Dhani Apni Qismat Ka Hai To Wohi Hai, Deyar E Nabi (S.A.W.W) Jiss Nay Aankhon Se Dekha, Muqaddar Hai Sacha Muqaddar Ussi Ka, Nigaah E Karam Jiss Pe Aaqa(S.Aw.W) Nay Daali, Main Uss Aastaan E Haram Ka Gada Hoon, Jahan Sir Jhukatay Hain Shaahaan E Aalam, Mujhay Taajdaaron Se Kamm Mat Samajhna, Mera Sir Hai Shayaan E Taaj E Bilaali, Khula Hai Sabhi Kay Liye Baab E Rehmat, Waha...

Lamyaati Nazeero Kafi Nazarin || Naat Lyrics

Lam Ya’Ati Naziro Kafi Nazrin, Misle To Na Shud Paida Jaana. Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So, Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam, Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abr e Karam, Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim, Do Boond Idhar Bhi Gira Jaana. Al Bahro Alaa wal Mavjo Tagha, Man Bekaso Tufaan Hosh Ruba, Manjdhaar Mein Houn Ya Rasulallah, Manjdhaar Mein Houn Bigri Hai Hawaa, Mori Nayya Paar Laga Jaana. Ar Rooho Fida Ka Fazid Harka, Yak Shola Digar Barzan Ishqa, Mora Tan, Man, Dhan, Sab Phoonk Diya, Yeh Jaan Bhi Pyaare Jala Jaana. Al Qalbo Shyjivm Wal Hamo Shujut, Dil Dar Chuna Jaan Zer Chuno, Pat Apni Bhi Pat Mein Kaaisay Kahoun, Mera Koun Hai Teray Siva Jaana. Bas Khaama-Aey Khaam Nawaaey Raza, Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera, Irshaade Ahibba Na’Atik Tha, Nachaar Is Raah Para Jaana.  

Arsh Ki Aqal || Naat Lyrics

  Salle ala nabiye na salle ala muhammadin Salle ala shafieana na salle ala muhammadin Dekha jo Un ko baanethe main ne bhi bar ke shouk se Daste ata ke samne daste talab barha diya Ham bhi Madine jaye gei ajj nahi to kal sahi Aqa hamme bulaye gei ajj nahi to kal sahi Arsh Ki Aqal Dang Hai Charkh Mein Asmaan Hai Jaane Muraad Ab Khidar Ha Ye Tera Makan Hai Wo Jo Na The To Kuch Na Tha Wo Jo Na Ho To Kuch Na Ho Jaan He Wo Jahaan Ki Jaan He To Jahaan He Aamade Mustafa hoyi roshan zamana ho geya Jin ke Huzoor ho geye un ka zamana ho geya Khauf Na Rakh Raza Zara Too To He Abde Mustapha Tere Liye Amaan He Tere Liye Amaan He Salle ala nabiye na salle ala muhammadin Salle ala nabiye na salle ala muhammadin

Wo Sheher e Muhabbat Jahan Mustafa Hai || Lyrics

  Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain Wahin Ghar Bananay Ko Dil Chahta Hay Wo Sonay Sae Kankar Wo Chandi See Mitti Nazar Main Basanay Ko Dil Chahta Hay Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain Wahin Ghar Bananay Ko Dil Chahta Hay Jihad e Muhabbat Ki Awaaz Goongi Kaha Hanzala Nae Ye Dulhan Sae Apni Ijazat Agar Doo Tou Jam e Shahdat Labooo Sae Laganay Ka Dil Chahta Hay Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain Wahin Ghar Bananay Ko Dil Chahta Hay Jo Pocha Nabi Nae Kay Kuch Ghar Bhi Chora Tou Siddique Akbar Kay Hoontoo Pay Aaya Wahan Mal o Dolat ki Kia Hay Zaroorat Jahan Dil Lutanay Ka Dil Chahta Hay Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain Wahin Ghar Bananay Ko Dil Chahta Hay Wo Sonay Sae Kankar Wo Chandi See Mitti Nazar Main Basanay Ko Dil Chahta Hay Wo Shehr e Mohabbat Jahan Mustafa Hain Wahin Ghar Bananay Ko Dil Chahta Hay Sitaroon Sae Ye Chand Kehta Hay Har Dam Tumhain Kia Bataen Wo Tukroan Ka Aalam Isharay Main Aaqa Kay Itna Maza Tha Kay Phir Toot Janay Ko Dil Chahta Hay Wo Shehr e ...